Jis dil men basaa thaa pyaar teraa

जिस दिल में बसा था प्यार तेरा
Work
Year
Language

जिस दिल में बसा था प्यार तेरा
उस दिलको कभी का तोड़ दिया
बदनाम ना होने देंगे तुझे
तेरा नाम ही लेना छोड़ दिया
जब याद कभी तुम आओगे
समझेंगे तुम्हे चाहा ही नहीं
राहों में अगर मिल जाओगे
सोचेंगे तुम्हे देखा ही नहीं
जो दर पे तुम्हारे जाती थी
उन राहोंको हमने मोड़ दिया
हम कौन किसीके होते हैं
कोई हमको याद करेगा क्यों
अपने दो आंसू भी हम पर
कोई बरबाद करेगा क्यों
उसने मांझी को ही गिला हमसे
मझधार में जिसने छोड़ दिया

jis dil meṅ basā thā pyār terā
us dilko kabhī kā toṛ diyā
badnām nā hone deṅge tujhe
terā nām hī lenā chhoṛ diyā
jab yād kabhī tum āoge
samjheṅge tumhe chāhā hī nahīṅ
rāhoṅ meṅ agar mil jāoge
socheṅge tumhe dekhā hī nahīṅ
jo dar pe tumhāre jātī thī
un rāhoṅko hamne moṛ diyā
ham kaun kisīke hote haiṅ
koī hamko yād karegā kyoṅ
apne do āṅsū bhī ham par
koī barbād karegā kyoṅ
usne māṅjhī ko hī gilā hamse
majhdhār meṅ jisne chhoṛ diyā