Jata Kahaan Hai Deewaane

जाता कहाँ है दीवाने सब कुछ यहाँ है सनम्
Work
Year
Language

जाता कहाँ है दीवाने
सब कुछ यहाँ है सनम
बाकी के सारे फ़साने
झूठे हैं तेरी क़सम

fifty ?
कुछ तेरे दिल में fifty
कुछ मेरे दिल में fifty
ज़माना है बुरा

पहलू बदलने लगे
घबरा के चलने लगे
आँखें मिलीं भी नहीं
यूँ ही सम्भलने लगे
ऐ जी सुनिये हुज़ूर
जाना हमसे न दूर
ऐ जी सुनिये हुज़ूर
देखो दिल है किसी का जलाना बुरा

जाता कहाँ है दीवाने
सब कुछ यहाँ है सनम
बाकी के सारे फ़साने
झूठे हैं तेरी क़सम

fifty
कुछ तेरे दिल में fifty
कुछ मेरे दिल में fifty
ज़माना है बुरा

सैयाद है तू मगर
मुझको न यूँ तन के देख
नादाँ ज़रा एक बार
क़ैदी मेरा बन के देख
मानो-मानो मेरी बात
है ये पहली मुलाक़ात
मानो-मानो मेरी बात
देखो पहलू से उठ के है जाना बुरा

जाता कहाँ है दीवाने
सब कुछ यहाँ है सनम
बाकी के सारे फ़साने
झूठे हैं तेरी क़सम

fifty ?
कुछ तेरे दिल में fifty
कुछ मेरे दिल में fifty
ज़माना है बुरा

jātā kahāṇ hai dīvāne
sab kuchh yahāṇ hai sanam
bākī ke sāre fasāne
jhūṭhe haiṅ terī qasam

fifty ?
kuchh tere dil meṅ fifty
kuchh mere dil meṅ fifty
zamānā hai burā

pahlū badalne lage
ghabrā ke chalne lage
āṇkheṅ milīṅ bhī nahīṅ
yūṇ hī sambhalne lage
ai jī suniye huzūr
jānā hamse na dūr
ai jī suniye huzūr
dekho dil hai kisī kā jalānā burā

jātā kahāṇ hai dīvāne
sab kuchh yahāṇ hai sanam
bākī ke sāre fasāne
jhūṭhe haiṅ terī qasam

fifty
kuchh tere dil meṅ fifty
kuchh mere dil meṅ fifty
zamānā hai burā

saiyād hai tū magar
mujhko na yūṇ tan ke dekh
nādāṇ zarā ek bār
qaidī merā ban ke dekh
māno-māno merī bāt
hai ye pahlī mulāqāt
māno-māno merī bāt
dekho pahlū se uṭh ke hai jānā burā

jātā kahāṇ hai dīvāne
sab kuchh yahāṇ hai sanam
bākī ke sāre fasāne
jhūṭhe haiṅ terī qasam

fifty ?
kuchh tere dil meṅ fifty
kuchh mere dil meṅ fifty
zamānā hai burā