Jab se tumhen dekhaa hai, aankho men tum hee tum ho

जब से तुम्हें देखा है, आँखो में तुम ही तुम हो
Work
Year
Language

जब से तुम्हें देखा है, आँखो में तुम ही तुम हो
हम भी यही कहते हैं, साँसों में तुम ही तुम हो

आ गये प्यार के दिन, बेखुदी छाने लगी
मस्तियाँ झूम उठी, ज़िंदगी गाने लगी
दिल के नये नग्मों की तानो में तुम ही तुम हो

जब से पाया है तुम्हें भीगा भीगा है समां
जब से चाहा है तुम्हें हर नज़ारा है जवां
दिल मे तुम ही रहते हो यादो में तुम ही तुम हो

दीप खुशियों के सदा दिल में जलते ही रहें
प्यार की दुनिया में हम साथ चलते ही रहें
क्यों ना मिले मंज़िल जब राहों में तुम ही तुम हो

jab se tumheṅ dekhā hai, āṇkho meṅ tum hī tum ho
ham bhī yahī kahte haiṅ, sāṇsoṅ meṅ tum hī tum ho

ā gaye pyār ke din, bekhudī chhāne lagī
mastiyāṇ jhūm uṭhī, ziṅdgī gāne lagī
dil ke naye nagmoṅ kī tāno meṅ tum hī tum ho

jab se pāyā hai tumheṅ bhīgā bhīgā hai samāṅ
jab se chāhā hai tumheṅ har nazārā hai javāṅ
dil me tum hī rahte ho yādo meṅ tum hī tum ho

dīp khuśhiyoṅ ke sadā dil meṅ jalte hī raheṅ
pyār kī duniyā meṅ ham sāth chalte hī raheṅ
kyoṅ nā mile maṅzil jab rāhoṅ meṅ tum hī tum ho