Jab jaag uthe armaan to kaise neend aae ?

जब जाग उठे अरमान तो कैसे नींद आए ?
Year
Language

जब जाग उठे अरमान तो कैसे नींद आए ?
हो घर में हसीन मेहमान तो कैसे नींद आए ?

ये रात ये दिल की धड़कन, ये बढ़ती हुई बेताबी
एक जाम के खातिर जैसे बेचैन हो कोई शराबी
शोलों में घिरी हो जान तो कैसे नींद आए ?

थम थम के नई उम्मीदें क्यों खेल रही है दिल से
जिस तरह तड़प कर मौजें टकराए किसी साहिल से
सीने में हो एक तूफ़ान तो कैसे नींद आए ?

नज़दीक बहोत है मंज़िल फिर भी है गजब की दूरी
ऐ दिल ये तू ही बतला दे, ये कौन सी है मजबूरी
जब सोच में हो इन्सान तो कैसे नींद आए ?

jab jāg uṭhe armān to kaise nīṅd āe ?
ho ghar meṅ hasīn mehmān to kaise nīṅd āe ?

ye rāt ye dil kī dhaṛkan, ye baṛhtī huī betābī
ek jām ke khātir jaise bechain ho koī śharābī
śholoṅ meṅ ghirī ho jān to kaise nīṅd āe ?

tham tham ke naī ummīdeṅ kyoṅ khel rahī hai dil se
jis tarah taṛap kar maujeṅ ṭakrāe kisī sāhil se
sīne meṅ ho ek tūfān to kaise nīṅd āe ?

nazdīk bahot hai maṅzil phir bhī hai gajab kī dūrī
ai dil ye tū hī batlā de, ye kaun sī hai majbūrī
jab soch meṅ ho insān to kaise nīṅd āe ?