जाने क्या हाल हो कल शीशे का पैमाने का
आज दर छोड़ चला है कोई मयखाने का
हाथ थर्राने लगे, जाम गिरा टूट गया
ये कोई वक़्त ना था आप के याद आने का
फिर ना शरमाओगे तुम अपनी कहानी सुन के
दर्द थोड़ा सा मिला लो मेरे अफ़साने का
बेवफ़ाई का गिला सुन के हंसी आती है
ढूँढिये और बहाना कोई तड़पाने का
जाने क्या हाल हो कल शीशे का पैमाने का
Work
Year
Language
jāne kyā hāl ho kal śhīśhe kā paimāne kā
āj dar chhoṛ chalā hai koī maykhāne kā
hāth tharrāne lage, jām girā ṭūṭ gayā
ye koī vaqt nā thā āp ke yād āne kā
phir nā śharmāoge tum apnī kahānī sun ke
dard thoṛā sā milā lo mere afsāne kā
bevafāī kā gilā sun ke haṅsī ātī hai
ḍhūṇḍhiye aur bahānā koī taṛpāne kā