जाना है हमे तो जहा करार मिले
जाना है हमें तो जहाँ करार मिले
लूटेंगे राहों में जहाँ बहार मिले
जब तक चलूँ चलती रहूँ मैं बाहों के साये में तेरे
जाना हमें कहाँ ये भी नहीं सोचे, नींद सी आँखों में भरे
मंज़िल हमें मिले ना मिले, तेरा प्यार मिले
मुझे दुनिया में जीने का सहारा काफ़ी है दिल की लगी
कुछ भी ना चाहूँ रहे मेरे लिये, ये तेरे होठों की हसीं
सारी दुनिया से लेना हमें क्या, हम तो यार मिले
तेरे संग पिया पड़ते हैं मेरे नील गगन पे कदम
तुम हो मेरे तो धरती घटा पे राज हमारा है सनम
आज नज़ारे सर झुका के सौ सौ बार मिले
jānā hai hameṅ to jahāṇ karār mile
lūṭeṅge rāhoṅ meṅ jahāṇ bahār mile
jab tak chalūṇ chaltī rahūṇ maiṅ bāhoṅ ke sāye meṅ tere
jānā hameṅ kahāṇ ye bhī nahīṅ soche, nīṅd sī āṇkhoṅ meṅ bhare
maṅzil hameṅ mile nā mile, terā pyār mile
mujhe duniyā meṅ jīne kā sahārā kāfī hai dil kī lagī
kuchh bhī nā chāhūṇ rahe mere liye, ye tere hoṭhoṅ kī hasīṅ
sārī duniyā se lenā hameṅ kyā, ham to yār mile
tere saṅg piyā paṛte haiṅ mere nīl gagan pe kadam
tum ho mere to dhartī ghaṭā pe rāj hamārā hai sanam
āj nazāre sar jhukā ke sau sau bār mile