ye dil dīvānā hai, dil to dīvānā hai
dīvānā dil hai ye dil dīvānā
kaisā bedardī hai, iskī to marzī hai
jab tak javānī hai, ye rut suhānī hai
nazreṅ judā nā hoṅ, armāṅ khafā nā hoṅ
dilkaśh bahāroṅ meṅ, chhupke chanāroṅ meṅ
yūṅ hī sadā ham tum, baiṭhe raheṅ gumsum
vo bevafā jo kahe hamko jānā hai ye dil,
ye dil divānā hai …
bechain rahtā hai, chupke se kahtā hai
mujhko dhaṛakne do, śholā bhaṛakne do
kāṇṭoṅ meṅ kaliyoṅ meṅ, sājan kī galiyoṅ meṅ
ferā lagāne do, chhoṛo bhī jāne do
kho to na jāūṅgā, maiṅ lauṭ āūṅgā
dekhā sune samjhe achchhā bahānā hai ye dil,
ye dil divānā hai …
sāvan ke āte hī, bādal ke chhāte hī
phūloṅ ke mausam meṅ, phūloṅ ke mausam meṅ
chalte hī purvāī, milte hī tanhāī
uljhāke bātoṅ meṅ, kahtā hai rātoṅ meṅ
yādoṅ meṅ kho jāūṅ, jaldī se so jāūṅ
kyoṅke sāṇvriyā ko sapnoṅ meṅ ānā hai ye dil,
ye dil divānā hai …