हुस्नवाले तेरा जवाब नहीं, कोई तुझसा नहीं हजारों में
हुस्नवाले तेरा जवाब नहीं
कोई तुझ सा नहीं हज़ारों में
तू है ऐसी कली जो गुलशन में साथ अपने बहार लाई हो
तू है ऐसी किरण जो रात ढले, चाँदनी में नहा के आई हो
ये तेरा नूर ये तेरे जलवे, जिस तरह चाँद हो सितारों में
तेरी आँखों में ऐसी मस्ती है, जैसे छलके हुये हो पैमाने
तेरे होठों पे वो खामोशी है, जैसे बिखरे हुये हो अफ़साने
तेरी ज़ुल्फों की ऐसी रंगत है, जैसे काली घटा बहारों में
तेरी सूरत जो देख ले शायर, अपने शेरों में ताज़गी भर ले
एक मुसव्वीर जो तुझ को पा जाये, अपने ख्वाबों में जिंदगी भर ले
नग्मागर ढूँढ ले अगर तुझ को, दर्द भर ले वो दिल के तारों में
husnvāle terā javāb nahīṅ
koī tujh sā nahīṅ hazāroṅ meṅ
tū hai aisī kalī jo gulaśhan meṅ sāth apne bahār lāī ho
tū hai aisī kiraṇ jo rāt ḍhale, chāṇdnī meṅ nahā ke āī ho
ye terā nūr ye tere jalve, jis tarah chāṇd ho sitāroṅ meṅ
terī āṇkhoṅ meṅ aisī mastī hai, jaise chhalke huye ho paimāne
tere hoṭhoṅ pe vo khāmośhī hai, jaise bikhre huye ho afsāne
terī zulphoṅ kī aisī raṅgat hai, jaise kālī ghaṭā bahāroṅ meṅ
terī sūrat jo dekh le śhāyar, apne śheroṅ meṅ tāzgī bhar le
ek musavvīr jo tujh ko pā jāye, apne khvāboṅ meṅ jiṅdgī bhar le
nagmāgar ḍhūṇḍh le agar tujh ko, dard bhar le vo dil ke tāroṅ meṅ