Husn chalaa kuchh aisee chaal

हुस्न चला कुछ ऐसी चाल
Year
Language

हुस्न चला कुछ ऐसी चाल
दीवाने का पूछ ना हाल
प्यार की कसम कमाल हो गया
अजी दिल को अब तक है इन्कार
आँखें कर बैठी इकरार
प्यार की कसम कमाल हो गया
कभी पास आए, कभी दूर जाए
के हैं दिल चुराने की लाखों अदाये
नही तीर निकला अभी तक कमान से
कोई उनसे कह दे के दिल को बचाए
कहाँ तक रहोगे यह दामन बचाके
के मुश्किल है बचना निशाने पे आके
हमारा हैं क्या हम तो मिटके रहेंगे
जहाँ तुमने देखा ज़रा मुस्कुराके
यह दिन हैं तुम्हारे, जमाना तुम्हारा
निगाहें उधर हैं, इधर है इशारा
यह पैगाम देते हैं ज़ुल्फों के साये
चला आए जो है मोहब्बत का मारा

husn chalā kuchh aisī chāl
dīvāne kā pūchh nā hāl
pyār kī kasam kamāl ho gayā
ajī dil ko ab tak hai inkār
āṇkheṅ kar baiṭhī ikrār
pyār kī kasam kamāl ho gayā
kabhī pās āe, kabhī dūr jāe
ke haiṅ dil churāne kī lākhoṅ adāye
nahī tīr niklā abhī tak kamān se
koī unse kah de ke dil ko bachāe
kahāṇ tak rahoge yah dāman bachāke
ke muśhkil hai bachnā niśhāne pe āke
hamārā haiṅ kyā ham to miṭke raheṅge
jahāṇ tumne dekhā zarā muskurāke
yah din haiṅ tumhāre, jamānā tumhārā
nigāheṅ udhar haiṅ, idhar hai iśhārā
yah paigām dete haiṅ zulphoṅ ke sāye
chalā āe jo hai mohabbat kā mārā