Chhote chhote bhaaiyon ke bare bhaiyaa

छोटे छोटे भाइयों के बड़े भैया
Year
Language

हुर्र हे हे
छोटे छोटे भाइयों के बड़े भैया हे हे हे हे
आज बनेंगे किसी के सैंया हे हे हे हे
ढोल नगाड़े बजे शहनाइयां
झूम के आईं मंगल घड़ियां

भाभी के संग होली में रंग गुलाल उड़ाएंगे
आएगी जब जब दीवाली मिलकर दीप जलाएंगे
चुनरी की कर देगी छैंया हे हे हे हे
चुनरी की कर देगी छैंया
आएगी बन के पुरवइया
होए छोटे छोटे भाइयों …

झिलमिल हो गई हैं अखियां
याद आईं बचपन की घड़ियां
नए सफ़र में लग जाएंगी
प्यार की इनको हथकड़ियां
जचते हैं देखो कैसे बड़े भैया हे हे हे हे
जचते हैं देखो कैसे बड़े भैया
राम जी ब्याहने चले सीता मैया
होए छोटे छोटे भाइयों …

hurr he he
chhoṭe chhoṭe bhāiyoṅ ke baṛe bhaiyā he he he he
āj baneṅge kisī ke saiṅyā he he he he
ḍhol nagāṛe baje śhahnāiyāṅ
jhūm ke āīṅ maṅgal ghaṛiyāṅ

bhābhī ke saṅg holī meṅ raṅg gulāl uṛāeṅge
āegī jab jab dīvālī milkar dīp jalāeṅge
chunrī kī kar degī chhaiṅyā he he he he
chunrī kī kar degī chhaiṅyā
āegī ban ke puravaiyā
hoe chhoṭe chhoṭe bhāiyoṅ …

jhilmil ho gaī haiṅ akhiyāṅ
yād āīṅ bachapan kī ghaṛiyāṅ
nae safar meṅ lag jāeṅgī
pyār kī inko hathkaṛiyāṅ
jachte haiṅ dekho kaise baṛe bhaiyā he he he he
jachte haiṅ dekho kaise baṛe bhaiyā
rām jī byāhne chale sītā maiyā
hoe chhoṭe chhoṭe bhāiyoṅ …