jhoṅkā havā kā āj bhī zulfeṅ uṛātā hogā na
terā dupaṭṭā āj bhī tere sar se saraktā hogā na
bāloṅ meṅ tere āj bhī phūl koī sajtā hogā na
ṭhaṇḍī havāeṅ rātoṅ meṅ tujhko thapkiyāṇ detī hoṅgī na
chāṇd kī ṭhaṇḍak khvāboṅ meṅ tujhko leke to jātī hogī na
sūraj kī kirṇeṅ subah ko terī nīṅdeṅ uṛātī hoṅgī na
mere khayāloṅ meṅ sanam khud se hī bāteṅ kartī hogī na
maiṅ dekhtā hūṇ chhup chhup ke tumko mahsūs kartī hogī na
jhoṅkā havā kā āj bhī zulfeṅ uṛātā hogā na …
kāġhaz pe merī tasvīr jaisī kuchh to banātī hogī na
ulaṭ palaṭ ke dekhke usko jī bhar ke hṇstī hogī na
hṇste hṇste āṇkheṅ tumhārī bhar bhar ātī hoṅgī na
mujhko ḍhakā thā dhūp meṅ jisse vo āṇchal bhīgotī hogī na
sāvan kī rimjhim merā tarānā yād dilātī hoṅgī na
ek ek merī bāteṅ tumko yād to ātī hogī na
yād to ātī hogī na yād to ātī hogī na
kyā tum mere in sab savāloṅ kā kuchh to javāb dogī na …