Hazaaron khvaahishen aisee kee har khvaahish pe dam nikle

हज़ारों ख्वाहिशें ऐसी की हर ख्वाहिश पे दम निकले
Work
Language

हज़ारों ख्वाहिशें ऐसी की हर ख्वाहिश पे दम निकले
बहुत निकले मेरे अरमान लेकिन फिर भी कम निकले

मोहब्बत में नहीं हैं फ़र्क़ जीने और मरने का
उसी को देख कर जीते हैं जिस काफ़िर पे दम निकले

डरे क्यों मेरा क़ातिल क्या रहेगा उसकी गर्दन पर
वो खून, जो चश्म-ए-तर से उम्र भर यूँ दम-ब-दम निकले

निकलना खुल्द से आदम का सुनते आये हैं लेकिन
बहुत बेआबरू होकर तेरे कुचे से हम निकले

हुई जिनसे तवक्को खस्तगी की दाद पाने की
वो हमसे भी ज्यादा ख़स्त-ए-तेघ-ए-सितम निकले

खुदा के वास्ते परदा ना काबे से उठा ज़ालिम
कहीं ऐसा ना हो याँ भी वही काफ़िर सनम निकले

कहाँ मयखाने का दरवाज़ा 'ग़ालिब' और कहाँ वाइज़
पर इतना जानते हैं कल वो जाता था के हम निकले

hazāroṅ khvāhiśheṅ aisī kī har khvāhiśh pe dam nikle
bahut nikle mere armān lekin phir bhī kam nikle

mohabbat meṅ nahīṅ haiṅ farq jīne aur marne kā
usī ko dekh kar jīte haiṅ jis kāfir pe dam nikle

ḍare kyoṅ merā qātil kyā rahegā uskī gardan par
vo khūn, jo chaśhm-e-tar se umr bhar yūṇ dam-ba-dam nikle

nikalnā khuld se ādam kā sunte āye haiṅ lekin
bahut beābrū hokar tere kuche se ham nikle

huī jinse tavakko khastgī kī dād pāne kī
vo hamse bhī jyādā khast-e-tegh-e-sitam nikle

khudā ke vāste pardā nā kābe se uṭhā zālim
kahīṅ aisā nā ho yāṇ bhī vahī kāfir sanam nikle

kahāṇ maykhāne kā darvāzā 'ġhālib' aur kahāṇ vāiz
par itnā jānte haiṅ kal vo jātā thā ke ham nikle