हंगामा है क्यूँ बरपा थोड़ी सी जो पी ली है
प्रेलुदे
ये अलग बात है साक़ी के मुझे होश नहीं
वरना मैं कुछ भी हूँ एहसान-फ़रामोश नहीं
मैं तेरी मस्त-निगाही का भरम रख लूँगा
होश आया भी तो कह दूँगा मुझे होश नहीं
हंगामा है क्यूँ बरपा थोड़ी सी जो पी ली है
डाका तो नहीं डाला चोरी तो नहीं की है
उस मय से नहीं मतलब दिल जिससे हो बेगाना
मकसूद है उस मय से दिल ही में जो खिंचती है
सूरज में लगे धब्बा फ़ितरत के करिश्मे हैं
बुत हमको कहें ख़ाफ़िर अल्लाह की मर्ज़ी है
नातजुर्बाकारी से वाइज़ की ये बातें हैं
इस रंग को क्या जाने पूछो जो कभी पी है
वाँ दिल में कि सदमें दो, याँ जी में कि सब सह लो
उनका भी अजब दिल है, मेरा भी अजब जी है
हर ज़र्रा चमकता है अनवार-ए-इलाही से
हर साँस ये कहती है हम हैं तो ख़ुदा भी है
ए शौक़ वही मय पी ऐ होश ज़रा सो जा
मेहमान-ए-नज़र इस दम इक बर्क-ए-तज़ली है
prelude
ye alag bāt hai sāqī ke mujhe hośh nahīṅ
varnā maiṅ kuchh bhī hūṇ ehsān-farāmośh nahīṅ
maiṅ terī mast-nigāhī kā bharam rakh lūṇgā
hośh āyā bhī to kah dūṇgā mujhe hośh nahīṅ
haṅgāmā hai kyūṇ barpā thoṛī sī jo pī lī hai
ḍākā to nahīṅ ḍālā chorī to nahīṅ kī hai
us may se nahīṅ matalab dil jisse ho begānā
maksūd hai us may se dil hī meṅ jo khiṅchtī hai
sūraj meṅ lage dhabbā fitarat ke kariśhme haiṅ
but hamko kaheṅ khāfir allāh kī marzī hai
nātjurbākārī se vāiz kī ye bāteṅ haiṅ
is raṅg ko kyā jāne pūchho jo kabhī pī hai
vāṇ dil meṅ ki sadmeṅ do, yāṇ jī meṅ ki sab sah lo
unkā bhī ajab dil hai, merā bhī ajab jī hai
har zarrā chamaktā hai anvār-e-ilāhī se
har sāṇs ye kahtī hai ham haiṅ to khudā bhī hai
e śhauq vahī may pī ai hośh zarā so jā
mehmān-e-nazar is dam ik bark-e-tazlī hai