Ham bevafaa hargiz na the, par ham vafaa kar naa sake

हम बेवफ़ा हरगिज़ न थे, पर हम वफ़ा कर ना सके
Work
Year
Language

हम बेवफ़ा हरगिज़ न थे
पर हम वफ़ा कर ना सके
हमको मिली उसकी सजा
हम जो ख़ता कर ना सके

कितनी अकेली थी वो राहें हम जिनपर
अब तक अकेले चलते रहें
तुझसे बिछड़ के भी ओ बेखबर
तेरे ही ग़म में जलते रहें
तूने किया जो शिकवा
हम वो गिला कर ना सके

तुमने जो देखा सुना सच था मगर
इतना था सच ये किसको पता
जाने तुम्हे मैने कोई धोखा दिया
जाने तुम्हे कोई धोखा हुआ
इस प्यार में सच झूठ का
तुम फ़ैसला कर ना सके

ham bevafā hargiz na the
par ham vafā kar nā sake
hamko milī uskī sajā
ham jo khatā kar nā sake

kitnī akelī thī vo rāheṅ ham jinapar
ab tak akele chalte raheṅ
tujhse bichhaṛ ke bhī o bekhabar
tere hī ġham meṅ jalte raheṅ
tūne kiyā jo śhikvā
ham vo gilā kar nā sake

tumne jo dekhā sunā sach thā magar
itnā thā sach ye kisko patā
jāne tumhe maine koī dhokhā diyā
jāne tumhe koī dhokhā huā
is pyār meṅ sach jhūṭh kā
tum faislā kar nā sake