Gumnaam hai koee badnaam hai koee

गुमनाम है कोई बदनाम है कोई
Work
Year
Language

गुमनाम है कोई, बदनाम है कोई
किस को खबर कौन है वो, अन्जान है कोई

किसको समझे हम अपना, कल का नाम है एक सपना
आज अगर तुम ज़िंदा हो, तो कल के लिए माला जपना

पल दो पल की मस्ती है, बस दो दिन की बस्ती है
चैन यहाँ पर महँगा है, और मौत यहाँ पर सस्ती है

कौन बला तूफ़ानी है, मौत को खुद हैरानी है
आये सदा वीरानों से, जो पैदा हुआ वो फ़ानी है

gumnām hai koī, badnām hai koī
kis ko khabar kaun hai vo, anjān hai koī

kisko samjhe ham apnā, kal kā nām hai ek sapnā
āj agar tum ziṅdā ho, to kal ke lie mālā japnā

pal do pal kī mastī hai, bas do din kī bastī hai
chain yahāṇ par mahṇgā hai, aur maut yahāṇ par sastī hai

kaun balā tūfānī hai, maut ko khud hairānī hai
āye sadā vīrānoṅ se, jo paidā huā vo fānī hai