Ghar aajaa ghir aaye badraa saavreeyaan

घर आजा घिर आये बदरा सावरीयाँ
Language

घर आजा घिर आये बदरा सावरीयाँ
मोरा जिया धक धक रे चमके बिजुरियाँ

सुना सुना घर मोहे डसनेको आये रे
खिड़की पे बैठे बैठे सारी रैन जाये रे
टप टीप सुनत मैं तो भयी रे बावरीयाँ

कसमस जियरा, कसक मोरी दुनी रे
प्यासी प्यासी अखियों की गलियाँ हैं सुनी रे
जाने मोहे लागी किस बैरन की नजरियाँ

ghar ājā ghir āye badrā sāvrīyāṇ
morā jiyā dhak dhak re chamke bijuriyāṇ

sunā sunā ghar mohe ḍasneko āye re
khiṛkī pe baiṭhe baiṭhe sārī rain jāye re
ṭap ṭīp sunat maiṅ to bhayī re bāvrīyāṇ

kasmas jiyrā, kasak morī dunī re
pyāsī pyāsī akhiyoṅ kī galiyāṇ haiṅ sunī re
jāne mohe lāgī kis bairan kī najriyāṇ