Title (Indic)गीत गाता चल ओ साथी गुनगुनाता चल् WorkGeet Gaata Chal Year1975 LanguageHindi Credits Role Artist Music Ravindra Jain Performer Jaspal Singh LyricsHindiगीत गाता चल ओ साथी गुनगुनाता चल ओ बन्धू रे… हंसते हंसाते बीते हर घड़ी हर पल गीत गाता चल … 1) खुला खुला गगन ये हरी भरी धरती जितना भी देखूँ तबियत नहीं भरती सुन्दर से सुन्दर हर इक रचना फूल कहे काँटोँ से भी सीखो हँसना ओ राही सीखो हँसना, ओ राही रे कुम्हला न जाए कहीं मन तेरा कोमल, गीत गाता … 2) चाँदी सा चमकता ये नदिया का पानी रे पानी की हर इक बूंद देती ज़िन्दगानी अम्बर से बरसे ज़मीन पे गीरे नीर के बिना हो भैया काम ना चले ओ भैया काम ना चले, ओ मेघा रे जल जो न होता तो ये जग जाता जल, गीत गाता … 3) कहाँ से तू आया और कहाँ तुझे जाना है खुश है वही जो इस बात से बेगाना है चल चल चलती हवाएं करें शोर उड़ते पखेरू खींचे मनवा की डोर ओ खींचे मनवा की डोर, ओ पंछी रे पंछियों के पंख लेके हो जा तू ओझल, गीत गाता … Englishgīt gātā chal o sāthī gungunātā chal o bandhū re… haṅste haṅsāte bīte har ghaṛī har pal gīt gātā chal … 1) khulā khulā gagan ye harī bharī dhartī jitnā bhī dekhūṇ tabiyat nahīṅ bhartī sundar se sundar har ik rachnā phūl kahe kāṇṭoṇ se bhī sīkho hṇsnā o rāhī sīkho hṇsnā, o rāhī re kumhlā na jāe kahīṅ man terā komal, gīt gātā … 2) chāṇdī sā chamaktā ye nadiyā kā pānī re pānī kī har ik būṅd detī zindgānī ambar se barse zamīn pe gīre nīr ke binā ho bhaiyā kām nā chale o bhaiyā kām nā chale, o meghā re jal jo na hotā to ye jag jātā jal, gīt gātā … 3) kahāṇ se tū āyā aur kahāṇ tujhe jānā hai khuśh hai vahī jo is bāt se begānā hai chal chal chaltī havāeṅ kareṅ śhor uṛte pakherū khīṅche manvā kī ḍor o khīṅche manvā kī ḍor, o paṅchhī re paṅchhiyoṅ ke paṅkh leke ho jā tū ojhal, gīt gātā …