Garaj baras pyaasee dhartee par phir paanee de maulaa

गरज बरस प्यासी धरती पर फिर पानी दे मौला
Work
Year
Language

गरज बरस प्यासी धरती पर फिर पानी दे मौला
चिड़ियों को दाने, बच्चों को गुड़धानी दे मौला

दो और दो का जोड़ हमेशा चार कहाँ होता है
सोच समझवालों को थोड़ी नादानी दे मौला

फिर रोशन कर जा जेहर का प्याला चमका नई सलीबें
झूठों की दुनिया में सच को ताबानी दे मौला

फिर मूरत से बाहर आकर चारों ओर बिखर जा
फिर मंदिर को कोई मीरा दिवानी दे मौला

तेरे होते कोई किसी की जान का दुश्मन क्यों हो 
जीनेवालों को मरने की आसानी दे मौला

garaj baras pyāsī dhartī par phir pānī de maulā
chiṛiyoṅ ko dāne, bachchoṅ ko guṛdhānī de maulā

do aur do kā joṛ hameśhā chār kahāṇ hotā hai
soch samajhvāloṅ ko thoṛī nādānī de maulā

phir rośhan kar jā jehar kā pyālā chamkā naī salībeṅ
jhūṭhoṅ kī duniyā meṅ sach ko tābānī de maulā

phir mūrat se bāhar ākar chāroṅ or bikhar jā
phir maṅdir ko koī mīrā divānī de maulā

tere hote koī kisī kī jān kā duśhman kyoṅ ho 
jīnevāloṅ ko marne kī āsānī de maulā