Ek na ek din ye kahaanee banegee

एक न एक दिन ये कहानी बनेगी
Year
Language

एक न एक दिन ये कहानी बनेगी
तू मेरे सपनों की रानी बनेगी
मैं तेरा दीवाना बनूंगा
रानी तू मेरी दीवानी बनेगी
चैन लूटा है नींद लूटी है
ऐसे मौसम में हमसे रूठी है
ये तेरे हाथों की अंगूठी
प्रेम की पहली निशानी बनेगी
ये गुस्सा तू भूल जाएगी
तेरे होठों पे हंसी आएगी
ये आज हो या कल हो, ये होगा
ये बेरुखी मेहेरबानी बनेगी
यूँ ही पहले तो लाज आती है
बाद में गोरी मान जाती है
तेरा मेरा नया नया मिलन है
ये मुलाक़ात पुरानी बनेगी

ek na ek din ye kahānī banegī
tū mere sapnoṅ kī rānī banegī
maiṅ terā dīvānā banūṅgā
rānī tū merī dīvānī banegī
chain lūṭā hai nīṅd lūṭī hai
aise mausam meṅ hamse rūṭhī hai
ye tere hāthoṅ kī aṅgūṭhī
prem kī pahlī niśhānī banegī
ye gussā tū bhūl jāegī
tere hoṭhoṅ pe haṅsī āegī
ye āj ho yā kal ho, ye hogā
ye berukhī meherbānī banegī
yūṇ hī pahle to lāj ātī hai
bād meṅ gorī mān jātī hai
terā merā nayā nayā milan hai
ye mulāqāt purānī banegī