javān tum ho, javān ham haiṅ
ye pyār tum se ho gayā hai
milan kā ik pal, ġhazab khudā kā
jigar meṅ naśhtar chubh gayā hai
ye gam.ra retī ye pāṇv nāzuk
ajī na jāo, paṛeṅge chhāle
merī ummīdoṅ kā tum ho sūraj
tumhāre dam se haiṅ ye ujāle
javān tum ho …
vo ṭhaṇḍī lahroṅ meṅ kab hai ṭhaṇḍak
jo mere sīne kī āg meṅ hai
vo gīt maujoṅ meṅ kab milegā
jo mere sāṇsoṅ ke rāg meṅ hai
javān tum ho …
na āge jāo, hai gahrā pānī
phir uspe śholā hai ye javānī
tumhre tapte hue badan se
lagegeī jal meṅ agan suhānī
javān tum ho …