Dost banke aae ho, dost banke hee rahnaa

दोस्त बनके आए हो, दोस्त बनके ही रहना
Year
Language

दोस्त बन के आए हो, दोस्त बन के ही रहना
अब बहोत ही मुश्किल है, बेवफ़ा तुम्हे कहना

तुम किरण सवेरे की, तुम चिराग मंज़िल का
जबसे तुमको देखा है, खिल उठा है चमन दिल का

तुम हो मेरा आईना, मैं तुम्हारी सूरत हूँ
तुम मेरा मुक़द्दर हो, मैं तुम्हारी किस्मत हूँ

उम्रभर ना आना तुम दिलजलों की बातों में
साथ हमको चलना है, हाथ लेके हाथों में

dost ban ke āe ho, dost ban ke hī rahnā
ab bahot hī muśhkil hai, bevafā tumhe kahnā

tum kiraṇ savere kī, tum chirāg maṅzil kā
jabse tumko dekhā hai, khil uṭhā hai chaman dil kā

tum ho merā āīnā, maiṅ tumhārī sūrat hūṇ
tum merā muqaddar ho, maiṅ tumhārī kismat hūṇ

umrbhar nā ānā tum dilajloṅ kī bātoṅ meṅ
sāth hamko chalnā hai, hāth leke hāthoṅ meṅ