Dil Se Dil Ki Dor Bandhe

दिल से दिल की डोर बाँधे चोरी-चोरी जाने
Work
Year
Language

मु: दिल से दिल की डोर बाँधे चोरी-चोरी जाने
हम-तुम तुम-हम संग-संग चले ( आज कहाँ ) -2
ल: दिल से दिल की डोर …

मु: क़दम मिलाकर चले उधर ले के चले ये प्यार जिधर
ल: प्यार के राही तू ही बता ख़त्म कहाँ होगा ये सफ़र
मु: जहाँ पे गाए दिल की सरगम झूम झूम कोई
हम-तुम तुम-हम …

ल: नई सी दुनिया नया समाँ छुपा हुआ था प्यार कहाँ
मु: छुपा हुआ था यहीं-कहीं ख़बर ये दिल को मगर नहीं
ल: हटाओ परदा प्यार जगा चलो बसा लें
हम-तुम तुम-हम संग-संग एक ( नया जहाँ ) -2
दो: दिल से दिल की डोर …

mu: dil se dil kī ḍor bāṇdhe chorī-chorī jāne
ham-tum tum-ham saṅg-saṅg chale ( āj kahāṇ ) -2
la: dil se dil kī ḍor …

mu: qadam milākar chale udhar le ke chale ye pyār jidhar
la: pyār ke rāhī tū hī batā khatm kahāṇ hogā ye safar
mu: jahāṇ pe gāe dil kī sargam jhūm jhūm koī
ham-tum tum-ham …

la: naī sī duniyā nayā samāṇ chhupā huā thā pyār kahāṇ
mu: chhupā huā thā yahīṅ-kahīṅ khabar ye dil ko magar nahīṅ
la: haṭāo pardā pyār jagā chalo basā leṅ
ham-tum tum-ham saṅg-saṅg ek ( nayā jahāṇ ) -2
do: dil se dil kī ḍor …