दिल मेरा तोड़ दिया उसने बुरा क्यूं मानूं
दिल मेरा तोड़ दिया उसने बुरा क्यूं मानूं
उसको हक़ है वो मुझे प्यार करे या ना करे
दिल मेरा तोड़ दिया …
पहले मालूम न था आज ये मैने समझा
प्यार कहते हैं जिसे वो है दिलों का सौदा
दिल की धड़कन को भला कैसे कोई क़ैद करे
ये तो आज़ाद है जब चाहे जहां आहें भरे
उसके रस्ते में खड़ी क्यूं कोई दीवार करें
उसको हक़ है वो मुझे …
सारे वादों का भरम पल में वो तोड़ गया
ग़म के जिस मोड़ पे ला के वो मुझे छोड़ गया
मैं उसी मोड़ की दहलीज़ पे सो जाऊंगी
उम्र भर उसके लिए अजनबी हो जाऊंगी
हर सितम शौक से मुझपे मेरा दिलदार करे
उसको हक़ है वो मुझे …
dil merā toṛ diyā usne burā kyūṅ mānūṅ
usko haq hai vo mujhe pyār kare yā nā kare
dil merā toṛ diyā …
pahle mālūm na thā āj ye maine samjhā
pyār kahte haiṅ jise vo hai diloṅ kā saudā
dil kī dhaṛkan ko bhalā kaise koī qaid kare
ye to āzād hai jab chāhe jahāṅ āheṅ bhare
uske raste meṅ khaṛī kyūṅ koī dīvār kareṅ
usko haq hai vo mujhe …
sāre vādoṅ kā bharam pal meṅ vo toṛ gayā
ġham ke jis moṛ pe lā ke vo mujhe chhoṛ gayā
maiṅ usī moṛ kī dahlīz pe so jāūṅgī
umr bhar uske lie ajanbī ho jāūṅgī
har sitam śhauk se mujhpe merā dildār kare
usko haq hai vo mujhe …