Dil men tujhe bithaake, kar loongee main band aankhen

दिल में तुझे बिठाके, कर लूँगी मैं बंद आँखें
Work
Year
Language

दिल में तुझे बिठाके, कर लूँगी मैं बंद आँखें
पूजा करूँगी तेरी, हो के रहूंगी तेरी
मैं ही मैं देखूं तुझे पिया और ना देखे कोई
इक पल भी ये सोच रहे ना किस विधि मिलना होये
सबसे तुझे बचाके, कर लूँगी मैं बंद आँखें
तेरा ही मुख देख के पिया रात को मैं सो जाऊँ
भोर भये जब आँख खुले तो तेरे ही दर्शन पाऊँ
तुझको गले लगाके, कर लूँगी मैं बंद आँखें

dil meṅ tujhe biṭhāke, kar lūṇgī maiṅ baṅd āṇkheṅ
pūjā karūṇgī terī, ho ke rahūṅgī terī
maiṅ hī maiṅ dekhūṅ tujhe piyā aur nā dekhe koī
ik pal bhī ye soch rahe nā kis vidhi milnā hoye
sabse tujhe bachāke, kar lūṇgī maiṅ baṅd āṇkheṅ
terā hī mukh dekh ke piyā rāt ko maiṅ so jāūṇ
bhor bhaye jab āṇkh khule to tere hī darśhan pāūṇ
tujhko gale lagāke, kar lūṇgī maiṅ baṅd āṇkheṅ