Dil jalaane kee baat karte ho

दिल जलाने की बात करते हो
Work
Language

दिल जलाने की बात करते हो
आशियाने की बात करते हो

सारी दुनिया के रंज-ओ-ग़म दे कर
मुस्कुराने की बात करते हो

हम को अपनी खबर नहीं यारों
तुम ज़माने की बात करते हो

ज़िक्र मेरा सुना तो चीड़ के कहा
किस दीवाने की बात करते हो

हादसा था गुज़र गया होगा
किसके जाने की बात करते हो

रस्म-ए-उल्फत, खलूस, तर्ज़-ए-वफ़ा
किस ज़माने की बात करते हो

dil jalāne kī bāt karte ho
āśhiyāne kī bāt karte ho

sārī duniyā ke raṅj-o-ġham de kar
muskurāne kī bāt karte ho

ham ko apnī khabar nahīṅ yāroṅ
tum zamāne kī bāt karte ho

zikr merā sunā to chīṛ ke kahā
kis dīvāne kī bāt karte ho

hādsā thā guzar gayā hogā
kiske jāne kī bāt karte ho

rasm-e-ulphat, khalūs, tarज़-e-vaफ़ā
kis ज़māne kī bāt karte ho