(tū mere pyār kā phūl hai ke merī bhūl hai
kuchh kah nahīṅ saktī
par kisī kā kiyā tū bhare
ye sah nahīṅ saktī) - 2
(merī badnāmī tere sāth palegī, sāth palegī
sun sun tāne merī kokh jalegī, hāy, kokh jalegī) - 2
kāṇṭoṅ bhare haiṅ sab rāste tere vāste
jīvan kī ḍagar meṅ
kaun banegā terā āsrā bedard nagar meṅ
tū mere pyār kā phūl hai ke merī bhūl hai
kuchh kah nahīṅ saktī
par kisī kā kiyā tū bhare
ye sah nahīṅ saktī
(pūchhegā koī to kise bāp kahegā, bāp kahegā
jag tujhe pheṅkā huā pāp kahegā, hāye, pāp kahegā) - 2
banke rahegī śharmindgī terī ziṅdgī
jab tak tū jiyegā
āj pilāūṅ tujhe dūdh maiṅ, kal zahar piyegā
tū mere pyār kā phūl hai ke merī bhūl hai
kuchh kah nahīṅ saktī
par kisī kā kiyā tū bhare
ye sah nahīṅ saktī