Deevaaron se milkar ronaa achchhaa lagtaa hai

दीवारों से मिलकर रोना अच्छा लगता है
Work
Language

दीवारों से मिलकर रोना अच्छा लगता है
हम भी पागल हो जायेंगे ऐसा लगता है

दुनिया भर की यादें हम से मिलने आती हैं
शाम ढले इस सूने घर में मेला लगता है

कितने दिनों के प्यासे होंगे यारों सोचो तो
शबनम का कतरा भी जिनको दरिया लगता है

किसको कैसर पत्थर मारूँ, कौन पराया है
शीश-महल में एक एक चेहरा अपना लगता है

dīvāroṅ se milkar ronā achchhā lagtā hai
ham bhī pāgal ho jāyeṅge aisā lagtā hai

duniyā bhar kī yādeṅ ham se milne ātī haiṅ
śhām ḍhale is sūne ghar meṅ melā lagtā hai

kitne dinoṅ ke pyāse hoṅge yāroṅ socho to
śhabnam kā katrā bhī jinko dariyā lagtā hai

kisko kaisar patthar mārūṇ, kaun parāyā hai
śhīśh-mahal meṅ ek ek chehrā apnā lagtā hai