चला भी आ, आ जा रसिया
जानेवाले आ जा तेरी याद सताये
ख़्वाबोंका घरौंदा कहीं टूट ना जाये
मुरझा चले हैं अरमान सारे
धुंधला गये हैं सभी उजले नजारे
कैसे जिऊँगी गमों के सहारे
तरसी निगाहें मेरी तुझको सदाये दे, धड़कन पुकारे
चला भी आ, आ जा रसिया, बैठी हूँ मैं कब से तेरी आस लगाये
इतना बता जा तेरे जी में क्या है
ला के दोराहे पे बिछड़ना बुरा है
इस जिन्दगी का तू ही आसरा है
क्या वो खता है मेरी जिस पे खफा है तू जिसकी सजा है
चला भी आ, आ जा रसिया, दिल तो गया मेरा कही जान ना जाये
मेरी लगन को कहा तू ने जाना
तेरे लिये तो मेरा दिल है दीवाना
हर सांस मेरी, तेरा ही तराना
ये जिंदगानी क्या है तेरी कहानी है, तेरा फ़साना
तेरा मेरा वो है रिश्ता के टूटे जो बलायें भी तो टूट न पाये
चला भी आ, आ जा रसिया
Work
Year
Language
chalā bhī ā, ā jā rasiyā
jānevāle ā jā terī yād satāye
khvāboṅkā gharauṅdā kahīṅ ṭūṭ nā jāye
murjhā chale haiṅ armān sāre
dhuṅdhlā gaye haiṅ sabhī ujle najāre
kaise jiūṇgī gamoṅ ke sahāre
tarsī nigāheṅ merī tujhko sadāye de, dhaṛkan pukāre
chalā bhī ā, ā jā rasiyā, baiṭhī hūṇ maiṅ kab se terī ās lagāye
itnā batā jā tere jī meṅ kyā hai
lā ke dorāhe pe bichhaṛnā burā hai
is jindgī kā tū hī āsrā hai
kyā vo khatā hai merī jis pe khaphā hai tū jiskī sajā hai
chalā bhī ā, ā jā rasiyā, dil to gayā merā kahī jān nā jāye
merī lagan ko kahā tū ne jānā
tere liye to merā dil hai dīvānā
har sāṅs merī, terā hī tarānā
ye jiṅdgānī kyā hai terī kahānī hai, terā fasānā
terā merā vo hai riśhtā ke ṭūṭe jo balāyeṅ bhī to ṭūṭ na pāye