Chakke Mein Chakka

चक्‌के में चक्‌का, चक्‌के पे गाड़ी, गाड़ी में निकली
Year
Language

चक्‌के में चक्‌का, चक्‌के पे गाड़ी, गाड़ी में निकली, अपनी सवारी
थोड़ा अगाड़ी थोड़ा पिछाड़ी थोड़ा अगाड़ी थोड़ा पिछाड़ी

1) चुन्नू छबीले मुन्नू हठीले
मखमल की टोपी छोटू रंगीले
लालू बटाटा लाली टमाटा
कम बनेंगे गट्टू गठीले
पेट में इनकी लम्बी सी दाढ़ी, चक्‌के में …

2) उमर में कच्चे ये छोटे बच्चे
हैं भोले भाले हैं सीधे सच्चे
ठानेंगे जो भी कर के रहेंगे
ये अपनी धुन के हैं पूरे पक्‌के
कोइ ना समझे इनको अनाड़ी, चक्‌के में …

3) लम्बा सफ़र है टेढ़ी डगर है
मंज़िल है मुश्किल गिरने का डर है
पर ना रुकेंगे चलते चलेंगे
ये सारी दुनिया अब अपना घर है
हार न मानेंगे ये खिलाड़ी, चक्‌के में …

chak‌ke meṅ chak‌kā, chak‌ke pe gāṛī, gāṛī meṅ niklī, apnī savārī
thoṛā agāṛī thoṛā pichhāṛī thoṛā agāṛī thoṛā pichhāṛī

1) chunnū chhabīle munnū haṭhīle
makhamal kī ṭopī chhoṭū raṅgīle
lālū baṭāṭā lālī ṭamāṭā
kam baneṅge gaṭṭū gaṭhīle
peṭ meṅ inkī lambī sī dāṛhī, chak‌ke meṅ …

2) umar meṅ kachche ye chhoṭe bachche
haiṅ bhole bhāle haiṅ sīdhe sachche
ṭhāneṅge jo bhī kar ke raheṅge
ye apnī dhun ke haiṅ pūre pak‌ke
koi nā samjhe inko anāṛī, chak‌ke meṅ …

3) lambā safar hai ṭeṛhī ḍagar hai
maṅzil hai muśhkil girne kā ḍar hai
par nā rukeṅge chalte chaleṅge
ye sārī duniyā ab apnā ghar hai
hār na māneṅge ye khilāṛī, chak‌ke meṅ …