Benaam saa ye dard thahar kyon naheen jaataa

बेनाम सा ये दर्द ठहर क्यों नहीं जाता
Work
Year
Language

बेनाम सा ये दर्द ठहर क्यों नहीं जाता
जो बीत गया है वो गुज़र क्यों नहीं जाता
सबकुछ है क्या ढूंढती रहती हैं निगाहें
क्या बात है मैं वक़्त पे घर क्यों नहीं जाता
वो एक ही चेहरा तो नहीं सारे जहाँ में
जो दूर है वो दिल से उतर क्यों नहीं जाता
मैं अपनी ही उलझी हुई राहों का तमाशा
जाते हैं जिधर सब मैं उधर क्यों नहीं जाता
वो नाम जो बरसों से, ना चेहरा ना बदन है
वो ख्वाब अगर है तो बिखर क्यों नहीं जाता

benām sā ye dard ṭhahar kyoṅ nahīṅ jātā
jo bīt gayā hai vo guzar kyoṅ nahīṅ jātā
sabkuchh hai kyā ḍhūṅḍhtī rahtī haiṅ nigāheṅ
kyā bāt hai maiṅ vaqt pe ghar kyoṅ nahīṅ jātā
vo ek hī chehrā to nahīṅ sāre jahāṇ meṅ
jo dūr hai vo dil se utar kyoṅ nahīṅ jātā
maiṅ apnī hī uljhī huī rāhoṅ kā tamāśhā
jāte haiṅ jidhar sab maiṅ udhar kyoṅ nahīṅ jātā
vo nām jo barsoṅ se, nā chehrā nā badan hai
vo khvāb agar hai to bikhar kyoṅ nahīṅ jātā