Begaane Shaadi Mein Abdullah Diwana

बेगानी शादी में अब्दुल्ला दीवाना
Year
Language

ल: बेगानी शादी में अब्दुल्ला दीवाना
ऐसे मनमौजी को मुश्किल है समझाना
है ना
बेगानी शादी में …

दुल्हन बनूँगी मैं डोली चढ़ूँगी मैं
दूर कहीं बालम के दिल में रहूँगी मैं
तुम तो पराए हो यूँ ही ललचाए हो
जाने किस दुनिया से जाने क्‌यूँ आए हो -2
बेगानी शादी में …

लहराती जाऊँ मैं बल खाती जाऊँ मैं
खड़ी-खड़ी रस्ते में पायल बजाऊँ मैं
पलकें बिछाऊँ मैं दिल में बुलाऊँ मैं
समझे न कुछ भी वो कैसे समझाऊँ मैं -2
बेगानी शादी में …

मु: बेगानी शादी में अब्दुल्ला दीवाना
दिल की इन बातों को मुश्किल है समझाना

अपना बेगाना कौन जाना अनजाना कौन
अपने दिल से पूछो दिल को पहचाना कौन
पल में लुट जाता है यूँ ही बह जाता है
शादी किसी की हो ( अपना दिल गाता है ) -2
बेगानी शादी में …

la: begānī śhādī meṅ abdullā dīvānā
aise manmaujī ko muśhkil hai samjhānā
hai nā
begānī śhādī meṅ …

dulhan banūṇgī maiṅ ḍolī chaṛhūṇgī maiṅ
dūr kahīṅ bālam ke dil meṅ rahūṇgī maiṅ
tum to parāe ho yūṇ hī lalchāe ho
jāne kis duniyā se jāne k‌yūṇ āe ho -2
begānī śhādī meṅ …

lahrātī jāūṇ maiṅ bal khātī jāūṇ maiṅ
khaṛī-khaṛī raste meṅ pāyal bajāūṇ maiṅ
palkeṅ bichhāūṇ maiṅ dil meṅ bulāūṇ maiṅ
samjhe na kuchh bhī vo kaise samjhāūṇ maiṅ -2
begānī śhādī meṅ …

mu: begānī śhādī meṅ abdullā dīvānā
dil kī in bātoṅ ko muśhkil hai samjhānā

apnā begānā kaun jānā anjānā kaun
apne dil se pūchho dil ko pahchānā kaun
pal meṅ luṭ jātā hai yūṇ hī bah jātā hai
śhādī kisī kī ho ( apnā dil gātā hai ) -2
begānī śhādī meṅ …