बस यही अपराध मैं हर बार करता हूँ
बस यही अपराध मैं हर बार करता हूँ
आदमी हूँ, आदमी से प्यार करता हूँ
एक खिलौना बन गया दुनिया के मेले में
कोई खेले भीड में कोई अकेले में
मस्कुराकर भेंट हर स्विकार करता हूँ
हूँ बहुत नादान करता हूँ ये नादानी
बेचकर खुशियाँ खरीदूँ आँख का पानी
हाथ खाली हैं मगर व्यापार करता हूँ
मैं बसाना चाहता हूँ स्वर्ग धरतीपर
आदमी जिसमें रहे बस आदमी बनकर
उस नगर की हर गली तैय्यार करता हूँ
bas yahī aprādh maiṅ har bār kartā hūṇ
ādmī hūṇ, ādmī se pyār kartā hūṇ
ek khilaunā ban gayā duniyā ke mele meṅ
koī khele bhīḍ meṅ koī akele meṅ
maskurākar bheṅṭ har svikār kartā hūṇ
hūṇ bahut nādān kartā hūṇ ye nādānī
bechkar khuśhiyāṇ kharīdūṇ āṇkh kā pānī
hāth khālī haiṅ magar vyāpār kartā hūṇ
maiṅ basānā chāhtā hūṇ svarg dhartīpar
ādmī jismeṅ rahe bas ādmī bankar
us nagar kī har galī taiyyār kartā hūṇ