Aur naheen kuchh tumse kahnaa

और नहीं कुछ तुमसे कहना
Work
Year
Language

और नहीं कुछ तुमसे कहना
जीवन साथी, जीवन साथी
जीवन साथी साथ में रहना
दीप नहीं तो कैसी ज्योती
सीप नहीं तो कैसा मोती
चाँद बिना क्या चाँदनी होती
रात से दिन है, दिन से है रैना
सीता के बिन राम अधूरा
राधा के बिन श्याम अधूरा
एक अकेला नाम अधूरा
तुम ही कहना ये सच है ना
कुछ देखूँ जब तुमको देखूँ
छोड़ के मैं सब तुमको देखूँ
जब देखूँ तब तुमको देखूँ
और ना देखें कुछ ये नैना
रख दो प्यार का नाम किनारा
हम मौजें ये जीवन धारा
बहता जाए ये जग सारा
मुझसे अलग हो कर मत बहना

aur nahīṅ kuchh tumse kahnā
jīvan sāthī, jīvan sāthī
jīvan sāthī sāth meṅ rahnā
dīp nahīṅ to kaisī jyotī
sīp nahīṅ to kaisā motī
chāṇd binā kyā chāṇdnī hotī
rāt se din hai, din se hai rainā
sītā ke bin rām adhūrā
rādhā ke bin śhyām adhūrā
ek akelā nām adhūrā
tum hī kahnā ye sach hai nā
kuchh dekhūṇ jab tumko dekhūṇ
chhoṛ ke maiṅ sab tumko dekhūṇ
jab dekhūṇ tab tumko dekhūṇ
aur nā dekheṅ kuchh ye nainā
rakh do pyār kā nām kinārā
ham maujeṅ ye jīvan dhārā
bahtā jāe ye jag sārā
mujhse alag ho kar mat bahnā