rafī: tujhe jīvan kī ḍor se, bāṇdh liyā hai, bāṇdh liyā hai
tere zulm-o-sitam, sar āṇkhoṅ par
latā: maine badle meṅ pyār ke, pyār diyā hai, pyār diyā hai
terī khuśhiyāṇ aur gam, sar āṇkhoṅ par
rafī: tujhe jīvan kī …
(apsrā koī āe to dekhūṇ nahīṅ
koī bahkāye haṅske to bahkūṇ nahīṅ ) - 2
tore matvāre nainoṅ ne, jādū kiyā
o … tore matvāre nainoṅ ne, jādū kiyā
terī ulfat sanam sar āṇkhoṅ par …
(mere jīvan kī anmiṭ kahānī hai tū
merī taqdīr aur ziṅdgānī hai tū ) - 2
liye firte haiṅ sabse chhupāye hue
o … liye firte haiṅ sabse chhupāye hue
terī tasvīr ham sar āṇkhoṅ par …
chāṇḍ sūraj bhī haiṅ terī parchhāiyāṇ
tujh se rośhan huī dil kī gahrāiyāṇ
tere chehre kī jhilmil se maṅzil milī
o tere chehre kī jhilmil se maṅzil milī
aisī pyārī pūnam sar āṇkhoṅ par …
(dono): tujhe jīvan kī ḍor se, bāṇdh liyā hai, bāṇdh liyā hai
tere zulmo-sitam, sar āṇkhoṅ par