Apnee marzee se kahaan apne safar ke ham hain

अपनी मर्ज़ी से कहाँ अपने सफ़र के हम हैं
Work
Language

अपनी मर्ज़ी से कहाँ अपने सफ़र के हम हैं
रुख़ हवाओंका जिधर का है उधर के हम हैं

पहले हर चीज थी अपनी मगर अब लगता है
अपने ही घर में किसी दूसरे घर के हम हैं

वक़्त के साथ है मिट्टी का सफ़र सदियोंसे
किसको मालूम, कहाँ के हैं, किधर के हम हैं

चलते रहते हैं की चलना है मुसाफिर का नसीब
सोचते रहते हैं किस राहगुजर के हम हैं

apnī marzī se kahāṇ apne safar ke ham haiṅ
rukh havāoṅkā jidhar kā hai udhar ke ham haiṅ

pahle har chīj thī apnī magar ab lagtā hai
apne hī ghar meṅ kisī dūsre ghar ke ham haiṅ

vaqt ke sāth hai miṭṭī kā safar sadiyoṅse
kisko mālūm, kahāṇ ke haiṅ, kidhar ke ham haiṅ

chalte rahte haiṅ kī chalnā hai musāphir kā nasīb
sochte rahte haiṅ kis rāhgujar ke ham haiṅ