kahīṅ dūr jab din ḍhal jāe
sāṇjh kī dulhan badan churāe, chupke se āe
mere khayāloṅ ke āṇgan meṅ, koī sapnoṅ ke dīp jalāe
kabhī yūṇ hī jab huī bojhal sāṇse
bhar āī baiṭhe baiṭhe jab yūṇ hī āṇkhe
tabhī machal ke, pyār se chal ke
chhūe koī mujhe par nazar nā āe, nazar nā āe
kahīṅ to ye dil kabhī mil nahīṅ pāte
kahīṅ se nikal āye janmoṅ ke nāte
hai mīṭhī uljhan bairī apnā man
apnā hī hoke sahe dard parāe, dard parāe
dil jāne mere sāre bhed ye gahre
kho gaye kaise mere sapne sunahre
ye mere sapne yahī to haiṅ apne
mujhse judā na hoṅge inke ye sāye