Ambar kee ek paak suraahee

अम्बर की एक पाक सुराही
Work
Year
Language

अम्बर की एक पाक सुराही
बादल का एक जाम उठाकर
घूंट चांदनी पी है हमने
बात कुफ़्र की की है हमने
कैसे इसका क़र्ज़ चुकाये
मांग के अपनी मौत के हाथों
उम्र की सूली सी है हमने
बात कुफ़्र की की है हमने
अपना इस में कुछ भी नहीं है
रोज़-ए-अज़ल से उसकी अमानत
उसको वही तो दी है हमने
बात कुफ़्र की की है हमने

ambar kī ek pāk surāhī
bādal kā ek jām uṭhākar
ghūṅṭ chāṅdnī pī hai hamne
bāt kuफ़r kī kī hai hamne
kaise iskā qarz chukāye
māṅg ke apnī maut ke hāthoṅ
umr kī sūlī sī hai hamne
bāt kuफ़r kī kī hai hamne
apnā is meṅ kuchh bhī nahīṅ hai
roz-e-azal se uskī amānat
usko vahī to dī hai hamne
bāt kuफ़r kī kī hai hamne