अजीब सानेहा मुझ पर गुज़र गया यारो
अजीब सानेहा मुझ पर गुज़र गया यारो
मैं अपने साये से कल रात डर गया यारो
हर एक नक़्श तमन्ना का हो गया धुंधला
हर एक ज़ख़्म मेरे दिल का भर गया यारो
भटक रही थी जो कश्ती वो ग़क़.र-ए-आब हुई
चढ़ा हुआ था जो दरिया उतर गया यारो
वो कौन था वो कहाँ का था क्या हुआ था उसे
सुना है आज कोई शख़्स मर गया यारो
ajīb sānehā mujh par guzar gayā yāro
maiṅ apne sāye se kal rāt ḍar gayā yāro
har ek naqśh tamannā kā ho gayā dhuṅdhlā
har ek zakhm mere dil kā bhar gayā yāro
bhaṭak rahī thī jo kaśhtī vo ġhaq.ra-e-āb huī
chaṛhā huā thā jo dariyā utar gayā yāro
vo kaun thā vo kahāṇ kā thā kyā huā thā use
sunā hai āj koī śhakhs mar gayā yāro