Ajanbee shahar men ajanbee raaste

अजनबी शहर में अजनबी रास्ते
Work
Language

अजनबी शहर में अजनबी रास्ते
मेरी तन्हाई पर मुस्कुराते रहे
में बहुत देर तक यूँही चलता रहा
तुम बहुत देर तक याद आते रहे

ज़हर मिलता रहा ज़हर पीते रहे
रोज़ मरते रहे रोज़ जीते रहे
ज़िंदगी भी हमें आजमाती रही
और हम भी उसे आजमाते रहे

ज़ख्म जब भी कोई जहन-ओ-दिलपर लगा
ज़िंदगी की तरफ एक दरीचा खुला
हम भी गोया किसी साज़ के तार हैं
चोट खाते रहे गुनगुनाते रहे

कल कुछ ऐसा हुआ मैं बहोत थक गया
इस लिए सुन के भी अनसुनी कर गया
कितनी यादों के भटके हुये कारवां
दिल के ज़ख्मों के दर खट-खटाते रहे

सख्त हालात के तेज तूफान में
घिर गया था हमारा जुनून-ए-वफ़ा
हम चराग-ए-तमन्ना जलाते रहे
वो चराग-ए-तमन्ना बुझाते रहे

ajanbī śhahar meṅ ajanbī rāste
merī tanhāī par muskurāte rahe
meṅ bahut der tak yūṇhī chaltā rahā
tum bahut der tak yād āte rahe

zahar miltā rahā zahar pīte rahe
roz marte rahe roz jīte rahe
ziṅdgī bhī hameṅ ājmātī rahī
aur ham bhī use ājmāte rahe

zakhm jab bhī koī jahan-o-dilpar lagā
ziṅdgī kī taraph ek darīchā khulā
ham bhī goyā kisī sāz ke tār haiṅ
choṭ khāte rahe gungunāte rahe

kal kuchh aisā huā maiṅ bahot thak gayā
is lie sun ke bhī ansunī kar gayā
kitnī yādoṅ ke bhaṭke huye kārvāṅ
dil ke zakhmoṅ ke dar khaṭ-khaṭāte rahe

sakht hālāt ke tej tūphān meṅ
ghir gayā thā hamārā junūn-e-vafā
ham charāg-e-tamannā jalāte rahe
vo charāg-e-tamannā bujhāte rahe