Aise naa mujhe tum dekho, seene se lagaa loongaa

ऐसे ना मुझे तुम देखो, सीने से लगा लूँगा
Year
Language

ऐसे ना मुझे तुम देखो, सीने से लगा लूँगा
तुमको मैं चुरा लूँगा तुमसे, दिल में छुपा लूँगा

तेरे दिल से ऐ दिलबर दिल मेरा कहता है
प्यार के दुश्मन लोग, मुझे डर लगता रहता है
थाम लो तुम मेरी बाहें, मैं तुम्हें संभालूँगा
तुमको मैं चुरा लूँगा तुमसे, दिल में छुपा लूँगा

धीमी धीमी आग से एक शोला भडकाया है
दूर से तुमने इस दिल को कितना तरसाया है
मैं अब इस दिल के सारे अरमान निकालूँगा
तुमको मैं चुरा लूँगा तुमसे, दिल में छुपा लूँगा

प्यार के दामन में चुनकर हम फूल भर लेंगे
रास्ते के कांटे सारे दूर कर लेंगे
जान-ए-मन तुम को अपनी मैं जान बना लूँगा
तुमको मैं चुरा लूँगा तुमसे, दिल में छुपा लूँगा

aise nā mujhe tum dekho, sīne se lagā lūṇgā
tumko maiṅ churā lūṇgā tumse, dil meṅ chhupā lūṇgā

tere dil se ai dilbar dil merā kahtā hai
pyār ke duśhman log, mujhe ḍar lagtā rahtā hai
thām lo tum merī bāheṅ, maiṅ tumheṅ saṅbhālūṇgā
tumko maiṅ churā lūṇgā tumse, dil meṅ chhupā lūṇgā

dhīmī dhīmī āg se ek śholā bhaḍkāyā hai
dūr se tumne is dil ko kitnā tarsāyā hai
maiṅ ab is dil ke sāre armān nikālūṇgā
tumko maiṅ churā lūṇgā tumse, dil meṅ chhupā lūṇgā

pyār ke dāman meṅ chunkar ham phūl bhar leṅge
rāste ke kāṅṭe sāre dūr kar leṅge
jān-e-man tum ko apnī maiṅ jān banā lūṇgā
tumko maiṅ churā lūṇgā tumse, dil meṅ chhupā lūṇgā