Aisaa ho to kaisaa hogaa

ऐसा हो तो कैसा होगा
Work
Year
Language

ऐसा हो तो कैसा होगा, आप हो पास तो दिन ढले
पास हो आप तो तो दिन चले

ऐसा हो तो कैसा होगा, आप हो साथ तो दिन ढले
साथ हो आप तो तो दिन चले

किसी दिन ऐसा भी तो हो, रात की सुबह ही ना हो
रात के बाद भी रात हो, आप हो पास तो दिन ढले

किसी दिन होठों से कहो, फूलों से जो कहा तुम ने
आज तो फूलों की रात हो, आप हो पास तो दिन ढले

aisā ho to kaisā hogā, āp ho pās to din ḍhale
pās ho āp to to din chale

aisā ho to kaisā hogā, āp ho sāth to din ḍhale
sāth ho āp to to din chale

kisī din aisā bhī to ho, rāt kī subah hī nā ho
rāt ke bād bhī rāt ho, āp ho pās to din ḍhale

kisī din hoṭhoṅ se kaho, phūloṅ se jo kahā tum ne
āj to phūloṅ kī rāt ho, āp ho pās to din ḍhale