अगर तेरी जलवा-नुमाई न होती
र: ( अगर तेरी जलवा-नुमाई न होती
ख़ुदा की क़सम ये ख़ुदाई न होती ) -2
सु: ( अगर आँख तुमने मिलाई न होती
मेरी ज़िन्दगी मुस्कराई न होती ) -2
र: बहारों का मौसम न होता सुहाना
तेरे दम क़दम से हुआ आशिक़ाना
नज़ारों में ये दिलरुबाई न होती
ख़ुदा की क़सम …
सु: तेरे प्यार ने मुझ पर एहसाँ किया है
मेरा दिल लिया है मुझे दिल दिया है
अगर तूने उल्फ़त निभाई न होती
मेरी ज़िन्दगी मुस्कराई …
र: अगर नूर तेरा न आता जहाँ में
तो रखा ही क्या था ज़मीं आसमाँ में
कि मालिक ने दुनिया बनाई न होती
ख़ुदा की क़सम …
ra: ( agar terī jalvā-numāī na hotī
khudā kī qasam ye khudāī na hotī ) -2
su: ( agar āṇkh tumne milāī na hotī
merī zindgī muskrāī na hotī ) -2
ra: bahāroṅ kā mausam na hotā suhānā
tere dam qadam se huā āśhiqānā
nazāroṅ meṅ ye dilrubāī na hotī
khudā kī qasam …
su: tere pyār ne mujh par ehsāṇ kiyā hai
merā dil liyā hai mujhe dil diyā hai
agar tūne ulfat nibhāī na hotī
merī zindgī muskrāī …
ra: agar nūr terā na ātā jahāṇ meṅ
to rakhā hī kyā thā zamīṅ āsmāṇ meṅ
ki mālik ne duniyā banāī na hotī
khudā kī qasam …