Ab ke saavan men jee dare

अब के सावन में जी डरे
Year
Language

अब के सावन में जी डरे
रिमझिम तन पे पानी गिरे
मन में लगे ... आग सी
ऐसा मौसम पहले कभी भी आया नहीं
ऐसा बादल अम्बर पे सजना छाया नहीं
ये सुहाना समा, प्रेम की खोज में मौज में
पागल प्रेमी बन के फिरे ...
आ तुझको आँखों में छुपा लूँ इस रात में
कजरा गजरा बह जाएगा री बरसात में
होश से काम लो, राम का नाम लो, थाम लो
जाने बैरन रुत क्या करें ...

ab ke sāvan meṅ jī ḍare
rimjhim tan pe pānī gire
man meṅ lage ... āg sī
aisā mausam pahle kabhī bhī āyā nahīṅ
aisā bādal ambar pe sajnā chhāyā nahīṅ
ye suhānā samā, prem kī khoj meṅ mauj meṅ
pāgal premī ban ke phire ...
ā tujhko āṇkhoṅ meṅ chhupā lūṇ is rāt meṅ
kajrā gajrā bah jāegā rī barsāt meṅ
hośh se kām lo, rām kā nām lo, thām lo
jāne bairan rut kyā kareṅ ...