Aayaa naa hamko pyaar jataanaa, pyaar kabhee se tujhe karte hain

आया ना हमको प्यार जताना, प्यार कभी से तुझे करते हैं
Work
Year
Language

आया ना हमको प्यार जताना
प्यार कभी से तुझे करते हैं
भोलापन तेरा भा गया हमको
सादगी पर तेरी मरते हैं

जिसने हमारे दिल को समझा वो एक तेरा ही दिल है
तेरा आँचल, तेरी बाहें, अपनी यहीं तो मंज़िल है
हम तो तेरे हो ही चुके हैं अपना कहते डरते हैं

सूरत अच्छी, सीरत अच्छी तू तो एक है लाखों में
दिल करता है दिल से लगा लूँ रख लूँ छुपा के आँखों में
खुद पे भरोसा बढ़ जाता है जब तेरे साथ गुज़रते हैं

एक ही जीवन में तो दिल की प्यास बुझा नहीं पायेंगे
तुझको फिर पाने के लिये हम फिर दुनिया में आयेंगे
प्यार अमर है अमर ही रहेगा, मरने दो इंसान मरते हैं

āyā nā hamko pyār jatānā
pyār kabhī se tujhe karte haiṅ
bholāpan terā bhā gayā hamko
sādgī par terī marte haiṅ

jisne hamāre dil ko samjhā vo ek terā hī dil hai
terā āṇchal, terī bāheṅ, apnī yahīṅ to maṅzil hai
ham to tere ho hī chuke haiṅ apnā kahte ḍarte haiṅ

sūrat achchhī, sīrat achchhī tū to ek hai lākhoṅ meṅ
dil kartā hai dil se lagā lūṇ rakh lūṇ chhupā ke āṇkhoṅ meṅ
khud pe bharosā baṛh jātā hai jab tere sāth guzarte haiṅ

ek hī jīvan meṅ to dil kī pyās bujhā nahīṅ pāyeṅge
tujhko phir pāne ke liye ham phir duniyā meṅ āyeṅge
pyār amar hai amar hī rahegā, marne do iṅsān marte haiṅ