Aap yoon phaaslon se gujarte rahe, dil pe kadmon kee aavaaj aatee rahee

आप यूँ फासलों से गुजरते रहे, दिल पे कदमों की आवाज आती रही
Year
Language

आप यूँ फासलों से गुजरते रहे
दिल से कदमों की आवाज़ आती रही
आहटों से अंधेरे चमकते रहे
रात आती रही, रात जाती रही

गुनगुनाती रही मेरी तनहाईयाँ
दूर बजती रही कितनी शहनाईयां
जिंदगी, जिंदगी को बुलाती रही

कतरा कतरा, पिघलता रहा आसमान
रूह की वादियों में ना जाने कहा
एक नदी दिलरुबा गीत गाती रही

आप की गर्म बाहों में खो जायेंगे
आप की नर्म जानों पे सो जायेंगे
मुद्दतों रात नींदे चुराती रही

āp yūṇ phāsloṅ se gujarte rahe
dil se kadmoṅ kī āvāz ātī rahī
āhṭoṅ se aṅdhere chamakte rahe
rāt ātī rahī, rāt jātī rahī

gungunātī rahī merī tanhāīyāṇ
dūr bajtī rahī kitnī śhahnāīyāṅ
jiṅdgī, jiṅdgī ko bulātī rahī

katrā katrā, pighaltā rahā āsmān
rūh kī vādiyoṅ meṅ nā jāne kahā
ek nadī dilrubā gīt gātī rahī

āp kī garm bāhoṅ meṅ kho jāyeṅge
āp kī narm jānoṅ pe so jāyeṅge
muddtoṅ rāt nīṅde churātī rahī