आप कहें और हम ना आए ऐसे तो हालात नहीं
मंज़िल पे पहुचेंगे कैसे, आपका जब तक साथ नहीं
चाहनेवालों की आज दुनिया में चाहनेवाले आ गए
उल्फ़त की मय आँखोंसे लो आज पिलानेवाले आ गए
आप पिए और आप ना झूमें, आपके बस की बात नहीं
कसा हुआ है तीर हुस्न का, ज़रा संभलके रहियेगा
नज़र नज़र को मारेगी, तो क़ातिल हमें ना कहियेगा
चाल चली है सोचके हमने, इस खेल में अपनी मात नहीं
पास आके ये आपके हमें होने लगा एहसास है
दम है तो बस आपके दम से आप ही से साँस है
बयान करें जो हाल-ए-दिल को ऐसे कोई जज़बात नहीं
आप कहें और हम ना आए ऐसे तो हालात नहीं
Work
Year
Language
āp kaheṅ aur ham nā āe aise to hālāt nahīṅ
maṅzil pe pahucheṅge kaise, āpkā jab tak sāth nahīṅ
chāhnevāloṅ kī āj duniyā meṅ chāhnevāle ā gae
ulfat kī may āṇkhoṅse lo āj pilānevāle ā gae
āp pie aur āp nā jhūmeṅ, āpke bas kī bāt nahīṅ
kasā huā hai tīr husn kā, zarā saṅbhalke rahiyegā
nazar nazar ko māregī, to qātil hameṅ nā kahiyegā
chāl chalī hai sochke hamne, is khel meṅ apnī māt nahīṅ
pās āke ye āpke hameṅ hone lagā ehsās hai
dam hai to bas āpke dam se āp hī se sāṇs hai
bayān kareṅ jo hāl-e-dil ko aise koī jazbāt nahīṅ