Aankhon men jal rahaa hai kyon? bujhtaa naheen dhuaan

आँखों में जल रहा है क्यों? बुझता नहीं धुआँ
Work
Year
Language

आँखों में जल रहा है क्यों? बुझता नहीं धुआँ
उठता तो है घटा सा बरसता नहीं धुआँ

चूल्हें नहीं जलाये या बस्ती ही जल गई
कुछ रोज़ हो गये हैं अब उठता नहीं धुआँ

आँखों के पोछने से लगा आँच का पता
यूँ चेहरा फेर लेने से छूपता नहीं धुआँ

आँखो से आंसुओं के मरासिम पुराने हैं
मेहमान यह घरमें आये तो, चुभता नहीं धुआँ

उठता तो है घटा सा बरसता नहीं धुआँ
आँखो मे जल रहा है क्यों? बुझता नहीं धुआँ

āṇkhoṅ meṅ jal rahā hai kyoṅ? bujhtā nahīṅ dhuāṇ
uṭhtā to hai ghaṭā sā barastā nahīṅ dhuāṇ

chūlheṅ nahīṅ jalāye yā bastī hī jal gaī
kuchh roz ho gaye haiṅ ab uṭhtā nahīṅ dhuāṇ

āṇkhoṅ ke pochhne se lagā āṇch kā patā
yūṇ chehrā pher lene se chhūptā nahīṅ dhuāṇ

āṇkho se āṅsuoṅ ke marāsim purāne haiṅ
mehmān yah gharmeṅ āye to, chubhtā nahīṅ dhuāṇ

uṭhtā to hai ghaṭā sā barastā nahīṅ dhuāṇ
āṇkho me jal rahā hai kyoṅ? bujhtā nahīṅ dhuāṇ