do: ho o o
nāche re nāche re nāche re nāche re nāche
rādhā nāche
sakhiyāṇ nācheṅ re,
gopiyāṇ nācheṅ kanhaiyā ke gāṇv meṅ
bhar bhar kar bijliyāṇ pāṇv meṅ
ko: ho
nāche re nāche re nāche re nāche re nāche
rādhā nāche
sakhiyāṇ nācheṅ re,
gopiyāṇ nācheṅ kanhaiyā ke gāṇv meṅ
bhar bhar kar bijliyāṇ pāṇv meṅ
ho
nāche re nāche re nāche re nāche re nāche
rādhā nāche
su: chapal chapal charan vālī sundar sukumāriyāṇ
aisī lagīṅ jaise hoṅ khiltī phulvāriyāṇ
ko: chapal chapal charan vālī sundar sukumāriyāṇ
aisī lagīṅ jaise hoṅ khiltī phulvāriyāṇ
su: o
jhūm rahī haiṅ dāyeṅ bāyeṅ
chamachmātī chaṅchlāyeṅ
aṅg aṅg nikhar rahā
prem raṅg bikhar rahā
ā: kaṅgan bole khanan khanan
jhāṇjhan bole jhanan jhanan
su: goriyāṇ nācheṅ maṭak maṭak
komal bāṇheṅ jhaṭak jhaṭak
o
ā: bhar gauī lachak nayī latāoṅ meṅ
uṛ rahī haiṅ chunriyāṇ havāoṅ meṅ
ko: ho
nāche re nāche re nāche re nāche re nāche
rādhā nāche
sakhiyāṇ nācheṅ re,
gopiyāṇ nācheṅ kanhaiyā ke gāṇv meṅ
bhar bhar kar bijliyāṇ pāṇv meṅ
ho
nāche re nāche re nāche re nāche re nāche
rādhā nāche
ko: ho
nāche re nāche re nāche re nāche re nāche
rādhā nāche
ā: āj sakal bṛndāban mast ho ke jhūmtā
dhartī kā gīt gagan gumbad ko chūmtā
do: śhyām kī matvāliyāṇ nācheṅ
bajā bajā tāliyāṇ nācheṅ
sabkī nazar lalach rahī
ras kī gāgar chhalak rahī
ko: ?? ḍole
ḍhim ḍhim ḍhim ḍholak bole
aisā chamatkār huā
pāvan saṅsār huā
ā: murlī bajī re kadamb ke chhṇv meṅ
sūnī paṛī haiṅ dāminiyāṇ ghaṭāoṅ meṅ
ko: ho
nāche re nāche re nāche re nāche re nāche
rādhā nāche
ā: ā
do: kitnā hai ullās bharā rās ye kamāl kā
har nayan meṅ nāch rahā rūp nandlāl kā
ho
āj mahākāl magan, dhartī pātāl magan
gagan pe dhamāl magan, sāre dik kāl magan
ā: sajan saṅg thakit thakit
ḍol rahe sab chakit chakit
do: sabkā jiyā bāvlā hai
sabke man meṅ kāmnā hai
ā
bhakti rachī sabkī bhāvnāo meṅ
bhar gayā ānand sab diśhāoṅ meṅ
ko: ho
nāche re nāche re nāche re nāche re nāche
rādhā nāche