आज कल में ढल गया, दिन हुआ तमाम्
आज कल में ढल गया, दिन हुआ तमाम
तू भी सो जा, सो गई, रंग भरी शाम
1) सो गया चमन चमन, सो गई कली-कली
सो गए हैं सब नगर, सो गई गली-गली
नींद कह रही है चल, मेरी बाँह थाम, तू भी …
2) है बुझा-बुझा सा दिल, बोझ साँस-साँस पे
जी रहे हैं फिर भी हम, सिर्फ़ कल की आस पे
कह रही है चाँदनी, लेके तेरा नाम, तू भी …
3) कौन आएगा इधर, किसकी राह देखें हम
जिनकी आहटें सुनी, जाने किसके ये कदम
अपना कोई भी नहीं, अपने तो हैं राम, तू भी …
āj kal meṅ ḍhal gayā, din huā tamām
tū bhī so jā, so gaī, raṅg bharī śhām
1) so gayā chaman chaman, so gaī kalī-kalī
so gae haiṅ sab nagar, so gaī galī-galī
nīṅd kah rahī hai chal, merī bāṇh thām, tū bhī …
2) hai bujhā-bujhā sā dil, bojh sāṇs-sāṇs pe
jī rahe haiṅ phir bhī ham, sirf kal kī ās pe
kah rahī hai chāṇdnī, leke terā nām, tū bhī …
3) kaun āegā idhar, kiskī rāh dekheṅ ham
jinkī āhṭeṅ sunī, jāne kiske ye kadam
apnā koī bhī nahīṅ, apne to haiṅ rām, tū bhī …