Aaj jaane kee jid naa karo

आज जाने की जिद ना करो
Work
Language

आज जाने की जिद ना करो
यूँ ही पहलू में बैठे रहो
हाए, मर जायेंगे हम तो लुट जायेंगे
ऐसी बातें किया ना करो

तुम ही सोचो जरा क्यों ना रोके तुम्हें
जान जाती है जब उठके जाते हो तुम
तुमको अपनी कसम, जान-ए-जां
बात इतनी मेरी मान लो

वक्त की कैद में जिंदगी है मगर
चंद घड़ियाँ हैं यही जो आज़ाद है
इनको खोकर मेरी जान-ए-जां
उम्रभर ना तरसते रहो

कितना मासूम संगीन है समां
हुस्न और इश्क की आज मेराज है
कल की किसको खबर जान-ए-जां
रोक लो आजकी रात को

āj jāne kī jid nā karo
yūṇ hī pahlū meṅ baiṭhe raho
hāe, mar jāyeṅge ham to luṭ jāyeṅge
aisī bāteṅ kiyā nā karo

tum hī socho jarā kyoṅ nā roke tumheṅ
jān jātī hai jab uṭhke jāte ho tum
tumko apnī kasam, jān-e-jāṅ
bāt itnī merī mān lo

vakt kī kaid meṅ jiṅdgī hai magar
chaṅd ghaṛiyāṇ haiṅ yahī jo āzād hai
inko khokar merī jān-e-jāṅ
umrbhar nā taraste raho

kitnā māsūm saṅgīn hai samāṅ
husn aur iśhk kī āj merāj hai
kal kī kisko khabar jān-e-jāṅ
rok lo ājkī rāt ko